Search This Blog

Tuesday, May 04, 2010

kash


KASH,
meri mohabbat


kash aaj meri jindgi mere paa hoti to main ek baar fir se us os ki bundo ki tarah chamakte hue chehre ko choom leta, par shayad mere naseeb me ye nahi hai wo ajj fir mere samne khadi thi or main us se kuch bhi nahi keh paya ..............par uska chehra kisi noor ki tarah chamak raha tha kaale badal jaise ghani julfe mano ki agar enke saaye me ek baar sapno ki duniya me chale gaye to fir kabhi wapas na sakenge uski julfo se aisi khusbu aati hai jis se koi gairkhubsurat cheej bhi khubsoorat lagne lage , jab bhi main uski julfo ko apne haatho me leta tha to mano lagta tha ki meri duniya mere hatho se fislti si ja rahi hai, uski aankho ko baya karne ke liye to khuda ne bhi kai jatan kare usne duniya me khoobsurti jaisi kayamat cheej banayi or baith gaya apne bando ko iske jaal me faste dekhne ke liye meri mohabbat ki aankhe jab bhi band hoti thi to wo kayamat hi kar jati thi uski aankho me laga kajal is baat ka awah hai ki usne na jane kitne dilo ko chalkadmi karne se rok diya hai agar allah taala mujhe ek or jindgi se nawaje to main sirf kazal bankar uski aankho me basna chahta hoon .................uski jawani kisi jalti shama se kam na thi wo jab bhi apne gulabi hotho se bolti thi to sun ne wale ke kaan me shalkkar gholti jati or use sun ne wala uska diwana ho jata tha aisa hi kuch haal mera tha main sirf uske gulab ki pankhudi jaise hoth dekh paata tha kyuki aye kambkhat uske hothe se najar kaha hatti thi jo uski sharab jaisi baat ko sun pate .........uski kaan me padi baaliya jab bhi hilti thi to mano lagta tha ki badal barasne ko tadap rahe hain par upar wale ne apni mutthi me unko kaid kar rakha hai .....................uska jawani kisi quatil se kam nahi thi ki jo jaydad to lutega hi sath sath me quqtal bhi kar jayega ..........main jab bhi uski kamar ke charo taraf anpi ungliya firata tha to mano ye lagat tha ki jais maine kisi meethe pani ki nadi me aoni ungli dalkar uska rukh badal diya ho

No comments:

Post a Comment